dast-e-imkan mein koi phul khilaya jae khema-e-khwab mein tabir ko laya jae aao chalte hain kisi aur hi duniya mein jahan khud ko gham kar ke kisi aur ko paya jae dil mein wahshat jo nahin dasht-nawardi kaisi be-khudi chhod ke ab hosh mein aaya jae jis ka har gosha sisakta hai sada deta hai is ilaqe mein kabhi laut ke jaya jae ek muddat se tamanna bhi thi masruf-e-riyaz naghma-e-qalb ko ab saz pe gaya jae