khilaf sari lakiren thin hath malte kya jami thi chehre pe gard aaina badalte kya hawaen rah mein dera jamae baithi thin charagh-e-dil ko liye do-qadam bhi chalte kya yugon se jism ke andar alaw raushan hai kisi ki aanch se mere hawas jalte kya chali wo aandhi ki jangal bhi kanp kanp utha ki hum to shakh se tute the phir sambhalte kya padi kiran to nadi ban gai pahad ki barf wo thahre sang zara der mein pighalte kya nadi ke donon kinare hain aas-pas magar janam ke fasle the qurbaton mein dhalte kya