dast-e-munim meri mehnat ka kharidar sahi koi din aur main ruswa sar-e-bazar sahi phir bhi kahlaunga aawara-e-gesu-e-bahaar main tera dam-e-khizan lakh giraftar sahi jast karta hun to lad jati hai manzil se nazar hail-e-rah koi aur bhi diwar sahi ghairat-e-sang hai saqi ye gulu-e-tishna tere paimane mein jo mauj hai talwar sahi main ne dekhi dekhi usi mein gham-e-dauran ki jhalak be-khabar rang-e-jahan se nigah-e-yar sahi un se bichhde hue 'majruh' zamana guzra ab bhi honton mein wahi garmi-e-rukhsar sahi