tum usi ko wajh-e-tarab kaho hum usi ko bais-e-gham kahen wahi ek fasana-e-ishq hai kabhi tum kaho kabhi hum kahen kabhi zikr-e-mehr-o-wafa karen kabhi dastan-e-alam kahen bade e'timad se wo sunen bade e'timad se hum kahen jise inqalab na chhu saka use tu ne khud hi mita diya wahi ek dil ka sanam-kada jise aabru-e-haram kahen wahi dil-kharash si ek nazar jo ba-qadr-e-zauq hai neshtar use koi tarz-e-sitam kahe hum ada-e-pursish-e-gham kahen tujhe ye khabar nahin saqiya ki hai mai-kashon ka maqam kya ye unhin ki wusat-e-qalb hai ki khud apne zarf ko kam kahen hama-arzu hama-be-khudi hama-bandagi hama-be-kasi yahi chand lamhon ki zindagi ise kyun na fursat-e-gham kahen 'qamar' is se hum ko gharaz hi kya hai sabhi se us ka moamla jo khuda kahen wo khuda kahen jo sanam kahen wo sanam kahen