dast-e-pur-shauq mile sab ko ye dastur nahin

dast-e-pur-shauq mile sab ko ye dastur nahin
khar se warna yahan daman-e-gul dur nahin

ishq bhi hamil-e-ayat-e-mohabbat na raha
chashm-e-pur-ab nahin zakhm se dil chur nahin

marg-e-alim ko kaha jata hai marg-e-alam
maut tari hai zamane pe jo mansur nahin

hath hai ek pas-e-parda mera daman thame
kabhi majbur hun main aur kabhi majbur nahin

nur taron ka bujha de na meri ham-bazmi
mujh se zulmat mere sae ki tarah dur nahin

'mani' aalam se ye kah ke chhudaya daman
meri qismat hai wahi jo unhen manzur nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close