haalat ki masnad se utar jaenge ek din

haalat ki masnad se utar jaenge ek din
arzani-e-wahshat mein hi mar jaenge ek din

yun did ko apni hamein tarsao na warna
mar jaenge mar jaenge mar jaenge ek din

ye aas bahut hai ki tere dast sitam se
jitne bhi mile ghaw hain bhar jaenge ek din

har sham jo aa jate hain mahfil ko sajaane
ye dost hamare bhi bikhar jaenge ek din

ye phul jo gulshan mein tar-o-taza khile hain
patjhad ki hawaon se bikhar jaenge ek din

hum ahl-e-mohabbat sabab-e-sham-o-sahar hain
hum dil se zamane ke utar jaenge ek din

hum khwab-nigaran hain sada zinda rahenge
kahne ko agar jaan se guzar jaenge ek din


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close