dast-e-qatil mein ye shamshir kahan se aai naz karti meri taqdir kahan se aai chandni sine mein utri hi chali jati hai chand mein aap ki taswir kahan se aai apni palkon pe saja lai hai kis ke jalwe zindagi tujh mein ye tanwir kahan se aai ho na ho us mein chaman walon ki sazish hai koi phul ke hath mein shamshir kahan se aai khwab to khair hum us bazm se le aae the lekin is khwab ki tabir kahan se aai khun-e-hasrat hai kahan aur ye ezaz kahan ai hina tujh mein ye tauqir kahan se aai dil se ek aah to nikli hai shakila bano lekin is aah mein tasir kahan se aai