nigah-e-mehr se dekho na gham-zada dil ko banao aur na mushkil hamari mushkil ko zamana qatl hua aur wo rahi pyasi gila hai abru-e-qatil se tegh-e-qatil ko mere khayal ne khalwat ko kar diya mahfil teri nigah ne khalwat banaya mahfil ko na jaane dil ka tujhe kuchh khayal hai ki nahin tera khayal to wajh-e-nashat hai dil ko nishan-e-manzil-e-maqsud pa hi jaega wo rah-naward ki madfan bana de manzil ko jila de barq jo hasil se hai yahi hasil ki khauf-e-barq se hasil na ho sukun dil ko kahan se aai ye hairat nigah-e-'bekhud' mein ki us ko dekh ke sakta hai ahl-e-mahfil ko