dast-e-saqi sharab hota hai rukh-e-jaanan gulab hota hai jaise hota hai ek kar-e-gunah waise kar-e-sawab hota hai jab wo deta hai dosti mein fareb dil mera aab aab hota hai kisi dariya-e-maujzan ki tarah aankh mein bhi chanab hota hai kaun is par hazar jaan se fida main hi mera jawab hota hai aks angdai le bhi sakta hai aaina mahw-e-khwab hota hai charkh-e-raushan ke nur se 'adil' band zulmat ka bab hota hai