hum apne-ap mein rahte hain dam mein dam jaise

hum apne-ap mein rahte hain dam mein dam jaise
hamare sath hon do-chaar bhi jo hum jaise

kise dimagh junun ki mizaj-pursi ka
sunega kaun guzarti hai sham-e-gham jaise

bhala hua ki tera naqsh-e-pa nazar aaya
khirad ko rasta samjhe hue the hum jaise

meri misal to aisi hai jaise khwab koi
mera wajud samajh lijiye adam jaise

ab aap khud hi bataen ye zindagi kya hai
karam bhi us ne kiye hain magar sitam jaise


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close