dastak pe koi bhi na mujhe aan kar mila

dastak pe koi bhi na mujhe aan kar mila
barson ke baad bhi wo mujhe band dar mila

qismat mein hadsat ki likkhi hui thi dhup
raste mein saya-dar na koi shajar mila

bachchon se chhin gaya main talash-e-maash mein
chhutti ke bawajud main un ko na ghar mila

biwi se roz roz ke jhagdon se aakhirash
logon ko us ka rail ki patri pe sar mila

hathon mein khwahishat ke kase liye hue
mujh ko sukun-e-dil se tahi har bashar mila

khadshat bhi na sach se mujhe baz rakh sake
jhuti gawahiyon ka na mujh ko hunar mila

us ki inayaton se jhuki shakh shakh ko
'mehdi' tawaqquat se badh kar samar mila


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close