har manzar-e-hasti par kahti hai khirad kya hai dekha hai jo sach hai bhi ya khwab-e-tamanna hai aabaad tera kucha ushshaq se hai tere allah rakhe tujh ko tu hai to tamasha hai kya haal kiya tu ne apna gham-e-jaanan mein wahshat si barasti hai kis soch mein duba hai aazad parindon ki manind junun mera ya dasht mein aawara ya wusat-e-sahra hai ye aql se duri hai ai himmat-e-mardana tuti hui talwaren ab jin pe bharosa hai ek umr ka yarana socho to ‘sharif-ahmad’ mitti mein daba aana rasm-o-rah-e-duniya hai