dastak si ye kya thi koi saya hai ki main hun ek shakhs meri tarah ka aaya hai ki main hun sab jaisa hun lekin mere taswir-garon ne chehra mera is rukh se banaya hai ki main hun kya nind thi wo apne na hone ke nashe ki kyun ye mere hone ne bataya hai ki main hun main hun ki hain maujud mere dekhne wale khud mujh ko to kam kam nazar aaya hai ki main hun main hun so ye khushbu teri aati rahi mujh se kuchh tere bhi hone se sujhaya hai ki main hun main is mein magan wahm hai ya khwab hai hasti logon ne magar dam bichhaya hai ki main hun dekhun to mere aks se kya kahta hai dariya pal-bhar ko to lahron ne bataya hai ki main hun kuchh rang lagae bhi hain taswir-garon ne ya hans ke ye kaghaz hi udaya hai ki main hun kuchh kam to nahin ye mere hone ki gumrahi is jurm mein kis kis ne sataya hai ki main hun