sach ko kahne ka hausla hai mujhe

sach ko kahne ka hausla hai mujhe
apne anjam ka pata hai mujhe

nind se khwab ho gae rukhsat
zindagi jaise ek saza hai mujhe

us ne raghbat se hath khinch liya
ab kahan koi sochta hai mujhe

dosti ka bharam hi tod diya
in dinon jaane kya hua hai mujhe

jis ki nindon mein khwab mere the
jab se jaga hai dhundta hai mujhe

chand jalte sawal bujhta dil
zindagi tu ne kya diya hai mujhe

sare rishte jab us ne tod liye
mud ke ab kya pukarta hai mujhe

ab hun bujhte diye sa suraj tha
in hawalon ko sochna hai mujhe

kyun 'tapish' uljhanon mein uljha hai
is ke bare mein jaanna hai mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close