dastan-e-dard-e-dil ahl-e-wafa kahne lage yani har aawaz ko teri sada kahne lage lijiye phir tod di yaron ne zanjir-e-sukut lijiye hum zindagi ka marsiya kahne lage ye bhi apni tang-nazari ki hai ek wazeh dalil hum jo har chehre ko ab ek aaina kahne lage phir nai tahzib ka ek bab raushan ho gaya log phir ab dastan-e-irtiqa kahne lage itni aawara-mizaji bhi 'ayaz' achchhi nahin dekh tere bare mein ab log kya kahne lage