aaina-asa ye khwab-e-nilamin rakkhunga main aur us ujle sitare par yaqin rakkhunga main umr bhar khush aaegi kya meri tanhai mujhe rabta har chand logon se nahin rakkhunga main shahr hi aisa andhera hai ki ek din bhul kar taqche mein phir charagh-e-awwalin rakkhunga main ras aati hi nahin jab pyar ki shiddat mujhe ek kami apni mohabbat mein kahin rakkhunga main ek saya sa guzar jaega mauj-e-nur se jab ujale mein wo shakh-e-yasmin rakkhunga main han yahi mitti wirasat hai mere ajdad ki laut kar apni kamai bhi yahin rakkhunga main