dastan-e-fitrat hai zarf ki kahani hai jitna uthla dariya hai utna tez pani hai jin labon ne sincha hai tishnagi ke kharon ko ab unhin ke hisse mein jam-e-kaamrani hai phir se khulne wala hai koi taza gul shayad baghban ki phir hum par khasi mehrbani hai aql kab se bhatke hai nafraton ki wadi mein pyar ki magar ab bhi dil pe hukmarani hai zakhm khate rahte hain muskuraate rahte hain hum wafa-shanason ki ye ada purani hai barf ban gae arman munjamid hue jazbe zist ke samundar mein kitna sard pani hai apne sae se hum khud ai hayat darte hain maslahat ki duniya mein kitni bad-gumani hai