karzar-e-zindagi mein aise lamhe aa gae azm-e-mohkam rakhne wale waqt se ghabra gae dusron ke waste jite rahe marte rahe khub-sirat log the raaz-e-mohabbat pa gae bagh par bijli gire ya nazr-e-gulchin ho rahe aah ab sochon ke dhaare is nahaj par aa gae is jhulasti dhup ne aakhir kahan pahuncha diya chhanw ki khatir pas-e-diwar-e-zindan aa gae wae mahrumi ki bas hum aasman takte rahe yun to baadal ghir ke aae hasraten barsa gae dil ki shadabi ki khatir dil ki taskin ke liye 'rizwi'-e-muztar kabhi makka kabhi mathura gae