dastan-e-gham-e-dil un ko sunai na gai baat bigdi thi kuchh aisi ki banai na gai sab ko hum bhul gae josh-e-junun mein lekin ek teri yaad thi aisi jo bhulai na gai ishq par kuchh na chala dida-e-tar ka qabu us ne jo aag laga di wo bujhai na gai pad gaya husn-e-rukh-e-yar ka partaw jis par khak mein mil ke bhi is dil ki safai na gai kya uthaegi saba khak meri us dar se ye qayamat to khud un se bhi uthai na gai