dhanak se phul se barg-e-hina se kuchh nahin hota badan sahra hue aab-o-hawa se kuchh nahin hota bahut kuchh dosto bismil ke chup rahne se hota hai faqat us khanjar-e-dast-e-jafa se kuchh nahin hota agar wusat na dije wahshat-e-jaan ke ilaqe ko to phir aazadi-e-zanjir-e-pa se kuchh nahin hota koi konpal nahin is ret ki tah mein to kya nikle yahan ai sada-dil kali ghata se kuchh nahin hota azal se kuchh kharabi hai kamanon ki samaat mein parindo shokhi-e-saut-o-sada se kuchh nahin hota chalo ab aasman se aur koi rabta sochen bahut din ho gae harf-e-dua se kuchh nahin hota