dastan-e-gham hum ne kah bhi di to kya hoga aur badh gai dil ki be-kali to kya hoga umr-e-rafta ke qisse dosto na doharao koi yaad-e-khwabida jag uthi to kya hoga zindagi to apni hai lut gai to phir kya gham gham teri amanat hai chhin gai to kya hoga dard se sanwari hai ruh-e-zindagi hum ne dard ko na ras aai zindagi to kya hoga