dastan-e-gham sunaun kis tarah zakhm-e-dil un ko dikhaun kis tarah mere rone par lagi hain bandishen aankh se aansu bahaun kis tarah wo wafa ke nam se anjaan hai dosti us se nibhaun kis tarah pyar se jab uth gaya hai e'timad jaan ki bazi lagaun kis tarah kaghazi phulon ka guldasta liye yar ki mahfil mein jaun kis tarah pyar ka tohfa diya jis ne mujhe aise mohsin ko bhulaun kis tarah 'ashna' tha jo mere har raaz se aise hamdam ko bhulaun kis tarah