dastan kah ke pareshan dil-e-nakaam na ho is khamoshi mein bhi pinhan koi paigham na ho ishq mein bhi hai taqaza meri khuddari ka jo mere dil ko mili hai wo khalish-e-am na ho mangne hi ka tariqa nahin aata hum ko ghair-mumkin hai teri chashm-e-karam aam na ho phul ke sae mein kanton ko bhi rahne dije subh ki qadr na ki jae agar sham na ho had se jo chiz bhi badhti hai badal jati hai kis tarah meri wafaon ka junun nam na ho aaj kyun hath tere kanp rahe hain saqi dekh to khun gharibon ka tah-e-jam na ho kaun aisa hai jo duniya ki zaban ko roke main ne mana ki mere lab pe tera nam na ho jalwa-e-husn numayan hai har ek zarre se kya kiya jae agar zauq-e-nazar aam na ho kar-e-duniya mein lage rahte hain hum ai 'shaarib' shairi us ke liye hai jise kuchh kaam na ho