nae uslub mein zinda hue hain tabhi to harf-e-ainda hue hain tulu-e-subh ki ummid kam thi dua-e-shab se tabinda hue hain na kaam aaya jahan arz-e-hunar bhi lab-e-izhaar sharminda hue hain badan mein jite ji jo mar gae the wo apni ruh mein zinda hue hain hamari shoalagi sab se juda hai bujhe hain hum to sozinda hue hain mita sakta nahin jin ko zamana kuchh aise naqsh-e-painda hue hain hamein sud-o-ziyan se kya 'sukhan' hum na yabinda na girinda hue hain