dastan khatm hai izhaar-e-wafa rahne do ab mere waste jine ki dua rahne do qurbaten pyar ki taqdis ghata deti hain pyar ko lams ki jannat se juda rahne do phir kisi zakhm ke khul jaen na tanke dekho rahne do tazkira-e-rasm-e-wafa rahne do reza-e-sang to aaya gul-e-manzar na sahi kasa-e-chashm ko hairat se khula rahne do hum ko tapte hue sahra se guzarna hai abhi yaad ki chhanw mein kuchh der khada rahne do jada-e-ishq kathin hai ye samajh mein aa jae khar ke sath ye patthar bhi pada rahne do 'shan' be-samt na kar de tumhein sahra-e-hayat zehn mein un ke nuqush-e-kaf-e-pa rahne do