dastanon mein mile the dastan rah jaenge umr budhi ho to ho hum naujawan rah jaenge sham hote hi gharon ko laut jaana hai hamein sahilon par sirf qadmon ke nishan rah jaenge hum kisi ke dil mein rahna chahte the is tarah jis tarah ab guftugu ke darmiyan rah jaenge khwab ko har khwab ki tabir milti hai kahan kuchh khayal aise bhi hain jo raegan rah jaenge kis ne socha tha ki rang-o-nur ki barish ke baad hum faqat bujhte charaghon ka dhuan rah jaenge zindagi be-nam rishton ke siwa kuchh bhi nahin jism kis ke sath honge dil kahan rah jaenge