chhod kar aise gaya hai chhodne wala mujhe dosto us ne kahin ka bhi nahin chhoda mujhe bol-baala is qadar khamoshiyon ka hai yahan katne ko daudta hai mera hi kamra mujhe han wahi taswir jo khinchi thi main ne sath mein han wahi taswir kar jati hai ab tanha mujhe baat to ye baad ki hai kuchh banunga ya nahin kuza-gar tu chaak pe to raqs karwata mujhe bas isi ummid pe hota gaya barbaad main gar kabhi bikhra to aa kar tu sambhaalega mujhe aathwin shab bhi mahz kuchh ghanton ki mehman hai gar manana hota to ab tak mana leta mujhe