dastur mohabbat ka sikhaya nahin jata ye aisa sabaq hai jo padhaya nahin jata kamsin hain wo aise unhen zalim kahun kaise masum pe ilzam lagaya nahin jata aaina dikhaya to kaha aaina-rukh ne aaine ko aaina dikhaya nahin jata kya chhed hai aanchal se gulistan mein saba ki un se rukh-e-raushan ko chhupaya nahin jata hairat hai ki mai-khane mein jata nahin zahid jannat mein musalman se jaya nahin jata ab maut hi le jae to le jae yahan se kuche se tere hum se to jaya nahin jata is darja pasheman mera qatil hai ki us se mahshar mein mere samne aaya nahin jata 'purnam' gham-e-ulfat mein tum aansu na bahao is aag ko pani se bujhaya nahin jata