apni khata ko is ne mere nam likh diya us par kamal ye ki sar-e-am likh diya andhon ke darmiyan rahun aaina misal mere liye khuda ne ajab kaam likh diya naraaz hai wo mujh se bas itni si baat par tira-shabi ko din na likha sham likh diya kuchh ban pada na hasrat-e-tamir se to phir ujde hue khandar ko dar-o-baam likh diya jab tirgi badhegi to chamkega aur bhi dil ke lahu se hum ne tera nam likh diya kahte hain kis ko sabr-o-tahammul ye hum se puchh taklif jo mili use aaram likh diya ye bhi hua ki jis ne ujade the ghar ke ghar munsif ne us ko laeq-e-inam likh diya chahi thi main ne jis ki bhalai tamam umr us ne meri duaon ko dushnam likh diya koi to baat hogi ki ahl-e-nigah ne jitne samar the pukhta unhen kham likh diya ab wasta pada hai to 'mahir' khula ye raaz patthar badan ko hum ne gul-andam likh diya