daulat-e-harf-o-bayan sath liye phirte hain hum mohabbat ka jahan sath liye phirte hain ek tabassum pe na jaana ki tere diwane gham ka ek koh-e-giran sath liye phirte hain jis pe ek sans ki takrar se baal aa jae hum wo shishe ka makan sath liye phirte hain aandhiyan us ko bujhane ke liye hain betab hum jo ye mishal-e-jaan sath liye phirte hain dasht-e-ghurbat mein buzurgon ki dua hai hamrah saya-e-abr-e-rawan sath liye phirte hain sang-e-dar se jo tere surat-e-saughat mila raushni ka wo nishan sath liye phirte hain hum ne dekha to nahin sirf suna hai ki 'sarosh' aaj-kal sarw-e-rawan sath liye phirte hain