hua hai ahl-e-sahil par asar kya tujhe ai dubne wale khabar kya wahi hai chashm-e-nargis ka tahayyur nahin gulshan mein koi dida-war kya safina kyun tah-e-girdab aaya talatum-khez maujon ko khabar kya nigah-e-lutf ka mamnun hai dil magar ye pursish-e-bar-e-digar kya na jaana jis ne raaz-e-marg-o-hasti wo kya samjhe ki hai teri nazar kya bahut dushwar thi rah-e-mohabbat hamara sath dete ham-safar kya sitaron ki bhi umren ho gain khatm na hoga qissa-e-gham mukhtasar kya sahar apni na apni sham ai 'naqsh' kisi majbur ke sham-o-sahar kya