daulat mere pichhe na sharafat mere aage chalta hai mera saya-e-wahshat mere aage qudrat ne banaya hai mujhe aisa bayaban ud jati hai sahraon ki rangat mere aage dushman ki nazar aata hun main jaan ka apni phiki hai raqibon ki raqabat mere aage kuchh karne nahin deti meri kahili mujh ko be-kar padi rahti hai fursat mere aage kuchh khoya hua hai jo kisi ko nahin milta phirte hain pareshan qad-o-qamat mere aage jab se ye khula mujh pe ki main hun nahin kuchh tab se na jahannum hai na jannat mere aage hijrat ka kai bar kiya main ne irada har baat 'shakil' aa gaya bhaarat mere aage