jis qadar shikwe the sab harf-e-dua hone lage hum kisi ki aarzu mein kya se kya hone lage bekasi ne be-zabani ko zaban kya bakhsh di jo na kah sakte the ashkon se ada hone lage hum zamane ki sukhan-fahmi ka shikwa kya karen jab zara si baat par tum bhi khafa hone lage rang-e-mahfil dekh kar duniya ne nazren pher lin aashna jitne bhi the na-ashna hone lage har qadam par manzilen kuchh dur yun hoti gain raaz-ha-e-zindagani hum pe wa hone lage sar-burida khasta-saman dil-shikasta jaan-ba-lab aashiqi mein surkh-ru nam-e-khuda hone lage aagahi ne jab dikhai rah-e-irfan-e-habib but the jitne dil mein sab qibla-numa hone lage aashiqi ki khair ho 'sarwar' ki ab is shahr mein waqt wo aaya hai bande bhi khuda hone lage