daur-e-jawani kab thahra hai aaj nahin to kal jaega kab tak is par naz karoge chadhta suraj dhal jaega sozish-e-gham se dil pighla hai chingari hai har har qatra aap na pochhen mere aansu aap ka daman jal jaega raushan chehra chhup jaega aap sanwaren zulfen warna din ke ujale kho jaenge raat ka jadu chal jaega saghar khanke maikhane mein raat dhali ab lutf aaya hai aise mein ai saqi-e-mahfil shaikh ka aana khul jaega aaj ki baaten kal pe na chhodo 'soz' tumhein malum nahin hai hath hi malte rah jaoge chaal zamana chal jaega