shab-e-wada hui aakhir ajal ki aaj ban aai bayaz-e-subh le kar sath kafur-o-kafan aai wo jab taqrir karte hain to munh se phul jhadte hain labon par baat kya aai bahaar-e-yasman aai gham o shadi se aalam ek tamasha-gah-e-ibrat hai kisi ghar se gaya murda kisi ghar mein dulhan aai zamana dekh kar mansur ko bartaw karna tha kahi haq baat kyon jo naubat-e-dar-o-rasan aai qafas mera bacha kar rakh hawa ke rukh se ai gul-chin phadak kar jaan de dunga agar bu-e-chaman aai asar hai wada-e-didar ka hangama-e-mahshar tumhin ko dekhne ye anjuman ki anjuman aai na chhuta baad-e-murdan bhi ta'alluq sehr-e-duniya se musafir ko manati dur tak yaad-e-watan aai