daur-e-shabab zulm-o-wafa yaad aa gaya

daur-e-shabab zulm-o-wafa yaad aa gaya
wo jab bhi yaad aae khuda yaad aa gaya

wo samne rahe to mujhe chup si lag gai
wo jab gae har ek gila yaad aa gaya

jab do nae dilon mein hue kuchh muahide
mujh ko bhi apna daur-e-wafa yaad aa gaya

mansur-o-dar ka jo suna main ne waqia
mujh ko tazad-e-jurm-o-saza yaad aa gaya

namnak ho ke rah gai kyon chashm-e-mast-e-naz
kya phir koi kharab-e-wafa yaad aa gaya

khurshid ko shafaq ki fazaon mein dekh kar
dast-e-hasin pe rang-e-hina yaad aa gaya

guzra nazar se jab koi barbaad-e-arzu
'musa' ko chahaton ka maza yaad aa gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close