daura hai jab se bazm mein teri sharab ka bazar garm hai mere dil ke kabab ka khuban ko kis tarah se laga le hai baat mein banda hun apni tab-e-zarafat-maab ka jo nama-bar gaya na phira ek ab talak ai dil tu intizar abas hai jawab ka hasrat ye hai ki raat ko aae wo mah-ru daulat se us ki did karun mahtab ka altaf mein bhi us ke aziyyat hai sau tarah laun kahan se hausla us ke itab ka rukhsar ke araq ka tere bhaw dekh kar pani ke mol nirkh hua hai gulab ka 'hatim' yahi hamesha zamane ki chaal hai shikwa baja nahin hai tujhe inqalab ka