khwahish-e-baal-o-par mein rahta hai mutmain kaun ghar mein rahta hai lamha lamha safar mein rahta hai chand kab kis nagar mein rahta hai jaan-e-jaan aaj-kal tera qatil kucha-e-chaara-gar mein rahta hai bhul jaun use magar kaise wo jo meri nazar mein rahta hai hum to sahra-naward hain 'manzar' khauf diwar-o-dar mein rahta hai