dawe ko yar aage mayub kar chuke hain is rekhte ko warna hum khub kar chuke hain marne se tum hamare khatir nachant rakhiyo us kaam ka bhi hum kuchh uslub kar chuke hain husn-e-kalam khinche kyunkar na daman-e-dil is kaam ko hum aakhir mahbub kar chuke hain hangama-e-qayamat taza nahin jo hoga hum is tarah ke kitne aashob kar chuke hain rang-e-paridan qasid baad-e-sahar kabutar kis kis ke hum hawale maktub kar chuke hain tinka nahin raha hai kya ab nisar kariye aage hi hum to ghar ko jarub kar chuke hain har lahza hai tazayud ranj-o-gham-o-alam ka ghaalib ki taba-e-dil ko maghlub kar chuke hain kya jaaniye ki kya hai ai 'mir' wajh zid ki sau bar hum to us ko mahjub kar chuke hain