dayar-e-dil se kisi ka guzar zaruri tha ujad raste pe koi shajar zaruri tha zara si der mein bujhne ko tha magar us dam diye ko chalti hawa ka samar zaruri tha agar na hote ye duniya isi tarah chalti hamara hona jahan mein magar zaruri tha nazar mein sher sajate ghazal samaat mein sukhan ke shahr mein aisa nagar zaruri tha hamare dil mein rahi hai bas ek hi khwahish dayar-e-yar mein apna bhi ghar zaruri tha chhalak rahi hain mere rome rome se khushiyan tumhaari bazm ka kuchh to asar zaruri tha