khalwat-e-zat hai aur anjuman-arai hai bazm si bazm hai tanhai si tanhai hai wo hai khamosh magar us ke sukut-e-lab par raqs karta hua ek aalam-e-goyai hai jab andhere meri aankhon ka lahu chat chuke tab in aankhon mein rifaqat ki chamak aai hai ab khuda us ko banaya hai to yaad aata hai jaise us but se to barson ki shanasai hai nind tuti hai to ehsas-e-ziyan bhi jaga dhup diwar se aangan mein utar aai hai pas-e-diwar-e-abad dekh raha hun ai dost meri aankhon mein mere ahd ki binai hai mere chehre pe hai wo aks ki aaina-e-zat kabhi mera kabhi khud apna tamashai hai mere sach mein to koi khot nahin tha 'sarshaar' phir ye kyun zahr se tiryak ki bu aai hai