dayar-e-gham se hum bahar nikal ke sher kahte hain masail hain bahut se un mein dhal ke sher kahte hain dahakte aag ke shoalon pe chal ke sher kahte hain hamein pahchan lije hum ghazal ke sher kahte hain riwayat ke pujari is liye naraaz hain hum se khata ye hai nae raston pe chal ke sher kahte hain hamein tanhaiyon ka shor jab bechain karta hai ikatthi karte hain yaaden ghazal ke sher kahte hain sitaron ki tarah raushan hain jin ke lafz zehnon mein wo shayad mom ki surat pighal ke sher kahte hain hamari shairi us ko kahin ruswa na kar dale so us ke shahr mein thoda sambhal ke sher kahte