hum bhi sunte jo tere husn ke charche hote kash us waqt teri bazm mein baithe hote dil ke wo dagh jo sine mein chhupa rakkhe hain ai masiha wo kabhi tu ne bhi dekhe hote hum samajh hi na sake teri nazar ka mafhum warna yun but se bane rah mein baithe hote gham-e-dauran ki kadi dhup ye tapta sahra kash do-gam teri zulf ke sae hote hum jala lete agar teri mohabbat ke charagh in andheron ki jagah dil mein ujale hote dil mein hota na kabhi zauq-e-tajassus ka hujum tujh se duniya mein agar aur bhi chehre hote