dayar-e-hosh ki pahle junun khabar lena uda ke dhul na mitti kharab kar lena jafa bhi ho to wo tum jaano aur hum jaanen na ho kisi ko khabar is tarah khabar lena nishani le ke chalenge watan ko ghurbat ki kahin se dasht ka daman zara katar lena niyaz-e-husn bhi hai zindagi ke dhandon mein kisi pe marne ki fursat mile to mar lena isi jahan se milta hai dars-e-ibrat bhi hazar shart hai lena na kuchh magar lena na mai-kashi na ibaadat hamari aadat hai ki samne koi kaam aa gaya to kar lena wafa kharab hai raftar-e-bahr-e-hasti ki abhi to dub hi ja phir kabhi ubhar lena janab-e-shaikh to bar-e-gunah se ghabrae hami uthaenge 'natiq' zara idhar lena