dekhta rahta hun aksar sham-e-qudrat dekh kar khub-surat dekhta hun khub-surat dekh kar meri niyyat dekh kar meri tabiat dekh kar ruk gaya rang-e-majaz apni haqiqat dekh kar naz-bardari ki ujrat koi thahraata nahin dene wale de diya karte hain mehnat dekh kar naz bhi tum ko mila andaz bhi tum ko mile kya buto allah bhi deta hai surat dekh kar shadmani dekhne walo hamein bhi dekh lo khush hue the hum bhi saman-e-masarrat dekh kar khelne ko jaan par kafi hai jism-e-zar bhi tum mujhe kya dekhte ho meri himmat dekh kar kis ki bu pa kar chaman mein chaar din thahri bahaar ram gai phulon mein bu kis ki shabahat dekh kar kuchh nahin achchha to duniya mein bura bhi kuchh nahin kijiye sab kuchh magar apni zarurat dekh kar