dayar-e-ishq mein tera guzar howe to main jaanun agar sar tak bhi ja kar rah sar howe to main jaanun mera girya baha deta hai har ek baat ko meri bas in baaton se us ke dil mein ghar howe to main jaanun kharabi kis ki hai jo ye hamare dasht-e-wahshat ho agar is baat ka hami khizar howe to main jaanun na barham ho tu dagh-e-dil ko mere dekh kar qatil teri shamshir ke aage sipar howe to main jaanun guzar kar jaan se apni qadam rakh rah-e-wahshat mein agar phir umr-bhar tujh ko khatar howe to mein jaanun jo tujh se ho sake sauda-e-bazar-e-mohabbat kar dil-o-jaan tak bhi jaane mein zarar howe to main jaanun kisi tadbir se ja garm kar aaun agar 'arif' gali mein us ke dushman ka guzar howe to main jaanun