dayar-e-ishq mein waiz KHirad ka kaam nahin

dayar-e-ishq mein waiz khirad ka kaam nahin
udhar na bhul ke jaana wo rah-e-am nahin

wo subh subh nahin hai wo sham sham nahin
ki jis mein un ki taraf se koi payam nahin

wo rah-rau hun ki manzil nahin qayam nahin
talash-e-dost mein kuchh qaid-e-subh-o-sham nahin

ye kaif-e-ishq hai waqti surur-e-jam nahin
teri tarah mera naseh khayal kham nahin

nigah-e-qahr ka markaz tha kaun mahfil mein
huzur kahte hain tera koi maqam nahin

ye falsafa ye siyasat ye hikmat-o-danish
kahan kahan meri khatir kamand-o-dam nahin

wo dars dete hain akhlaq ka ab ai 'asi'
salam kijiye jin ko to len salam nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close