ajab be-kaif hai raaton ki tanhai kai din se kisi ki yaad bhi dil mein nahin aai kai din se bahut maghmum hai shan-e-masihai kai din se badhi jati hai zakhm-e-dil ki gahrai kai din se kali ne bhi udaya tha mazaq-e-girya-e-shabnam padi hai khak par khushk aur murjhai kai din se chura lai hai shayad nikhat-e-gul sehn-e-gulshan se nasim-e-subh kyun phirti hai ghabrai kai din se khuda jaane ye ab kya ho gaya hum bad-nasibon ko ki tere gham ki lazzat bhi na ras aai kai din se idhar bhi ek nazar ai malik-e-virana-o-gulshan tere kuche mein phirta hai ye saudai kai din se shahid-e-ishq ki ye maut hai ya zindagi yarab nahin malum kyun bajti hai shahnai kai din se qayamat se nahin kam furqat-e-ahbab ka gham bhi dil-e-muztar ko roti hai shakebai kai din se nazar mein tishnagi lab par duaen dil mein ummiden haram ke gard phirta hai tamannai kai din se dil-e-bimar se kya kah diya un ki nigahon ne kuchh ab mahsus hoti hai tawanai kai din se kisi ahl-e-nazar ki phir unhen shayad zarurat hai ki phir betab hai shauq-e-khud-arai kai din se sunen arbab-e-mahfil gosh-e-dil se dil ki aawazen ki 'zauqi' kar raha hai naghma-pairai kai din se