dayar-e-jabr mein bhi sar-nigun nahin hoti

dayar-e-jabr mein bhi sar-nigun nahin hoti
khulus ho to mohabbat zubun nahin hoti

kabhi kabhi to shab-e-gham ke sard lamhon mein
tumhaari yaad bhi wajh-e-sukun nahin hoti

mataa-e-zarf ne jhukna hamein sikhaya hai
ki be-sharab surahi nigun nahin hoti

fareb deta hai jis tarah zindagi ka jamal
teri nigah bhi yun pur-fusun nahin hoti

faza ke jism mein lakhon hi zakhm hain lekin
hamare dard ki tashrih yun nahin hoti

hamara 'bakht' hai zabt-e-dawam ki tafsir
yahan numaish-e-soz-e-darun nahin hoti


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close