ab yahi saya-e-diwar mera ghar Thahra

ab yahi saya-e-diwar mera ghar thahra
use chhodun bhi to kaise mera paikar thahra

ab kisi aur jazire ka safar kyon kije
main bhi insan hun aashob ka khugar thahra

waqt ka apna safar abr ki apni manzil
ek pal ke liye saya mere dar par thahra

phir use pyas ke sahra se pukara main ne
main ki mawwaj samundar ka shanawar thahra

kyon na bargashta ho qismat ka sitara mujh se
ki sitara bhi wahi mah-e-munawwar thahra

zabt lazim tha magar aankh mein aansu bhar aae
aa ke sailab mere ghar ke barabar thahra

rifat-e-dar se insan ka bharam hai warna
kaun be-minnat-e-sultan sar-e-mimbar thahra


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close